top of page
Search
Writer's pictureExist Post

Online Business Karne Ke Tarike Tips

Aaj ke time me log Offline business ke compare me Online business par jyada intrust le rahe hai. Online Business me investment bahut kam hota hai aur Business yadi acha chal gaya to Online income bhi jyada hoti hai.

Aaj hum is post me Online Business ideas ke bare me detail me janenge. Jaisa ki aaj Digital duniya ka jamana hai aur lagbhag har Business ko online connect kar diya gaya hai, jiske mostly results positive mile hai.



Jab bhi online Business ki baat hoti hai to logo ke man me yahi aata hai ki jaise hi online koi work start karenge to income bhi starting se hone lagegi lekin yeh baat bulkul bhi sahi nahi hai. Sach baat yeh hai ki Jab bhi hum koi Online Business karte hai to uska benefit milne me hame 6 month to 1 year lag jata hai.

Simple language me kaha jaye to Online Business Start karte hi income nahi hone lagti almost 6 month to 1 year ka time lag jata hai, Online Business Types and work par bhi depend karta hai kisi ko success jaldi mil jati hai aur kisi ko kuch years baad milti hai.

Blogging karna- Blogging Online paisa kamane ka ek acha platform hai aur India me aise Top bloggers hai jo month me lakho kamate hai. Blogging ke liye hard work and patience bahut jaruri hai. Yadi blogging karne ke liye investment ko dekha jaye to usme lagbhag 5000 rs ka kharch aayega, jisme aapko 1 domain and 1 hosting one year ke liye mil jayega. Domain and Hosting lene ke liye aap kisi bhi company ka le sakte hai jaise Godaddy, Bigrocks etc.

Blogging ke liye Wordpress ka CMS best hai aur isliye mai suggest karunga ki aap bhi Wordpress me apna blog banaye. Kisi bhi aise niche par Blog banaye jisme aapka interest ho. Jab apke Blog me visitors aane lage to Google Adsense ke Ads lagakar paise kama sakte hai.

Videos Banana – Yadi apko Gana gane, dance karne, khana banane or kisi dusre field me intrust hai to isse aap Online Business Ideas me badal kar paise kama sakte hai. Sabse pahle aapko ek Youtube par channel banana hai aur jisme aapka intrust ho us topic par achi si videos banakar upload karte rahna hai. Jab apke Videos me views aane lage to isse Google Adsense ke liye apply kar dena hai. Google Adsense ka approval milne ke baad Ads aapke videos me show hone lagege aur aapki online income start ho jayegi.

Online paise kaise kamaye janne ke liye is post ko read kare.


60 views1 comment

1 comentario


timtim11b
12 mar 2022

Nice information how to make mony online thanks <a href="https://www.khajkhujli.com/2021/11/puraane-se-puraane-daad-kee-aayurvedik-dava.html">sir</a>

Me gusta
bottom of page